हर एक घर में दिया भी जले अनाज भी हो
हर एक घर में दिया भी जले अनाज भी होअगर न हो कहीं ऐसा तो एहतिजाज भी हो
रहेगी वा'दों में कब तक असीर ख़ुश-हाली
हर एक बार ही कल क्यूँ कभी तो आज भी हो
न करते शोर-शराबा तो और क्या करते
तुम्हारे शहर में कुछ और काम-काज भी हो
हुकूमतों को बदलना तो कुछ मुहाल नहीं
हुकूमतें जो बदलता है वो समाज भी हो
बदल रहे हैं कई आदमी दरिंदों में
मरज़ पुराना है इस का नया इलाज भी हो
अकेले ग़म से नई शाइरी नहीं होती
ज़बान-ए-'मीर' में 'ग़ालिब' का इम्तिज़ाज भी हो - निदा फ़ाज़ली
har ek ghar mein diya bhi jale anaj bhi ho
har ek ghar mein diya bhi jale anaj bhi hoagar na ho kahin aisa to ehtijaj bhi ho
rahegi wadon mein kab tak asir khush-haali
har ek bar hi kal kyun kabhi to aaj bhi ho
na karte shor-sharaba to aur kya karte
tumhaare shahr mein kuchh aur kaam-kaj bhi ho
hukumaton ko badalna to kuchh muhaal nahin
hukumaten jo badalta hai wo samaj bhi ho
badal rahe hain kai aadmi darindon mein
maraz purana hai is ka naya ilaj bhi ho
akele gham se nai shairi nahin hoti
zaban-e-'mir' mein 'ghaalib' ka imtizaj bhi ho - Nida Fazli