उस ने हम को झील तराई और पहाड़ दिए
उस ने हम को झील तराई और पहाड़ दिएहम ने इन सब की गर्दन में पंजे गाड़ दिए
ज़ंजीरों में जकड़ी उस मुँह-ज़ोर हवा ने फिर
तोड़ दिए खिड़की दरवाज़े पर दे फाड़ दिए
शबनम शबनम मोती बो कर आशा बैठी थी
लश्कर आया खेत जलाए पेड़ उखाड़ दिए
रेत भरी नहरों को देखो बहना भूल गईं
नफ़रत की आँधी ने कितने शहर उजाड़ दिए
हम तो गीली रेत थे जिस को रौंदा जाना था
उस ने भी कुछ नक़्श बनाए और बिगाड़ दिए
लाशे गडती हैं, मिट्टी में अरमां मिलते हैं
यार मुज़फ़्फ़र! सपने क्यों मिट्टी मे माड दिए - मुज़फ़्फ़र हनफ़ी
us ne hum ko jhil tarai aur pahad diye
us ne hum ko jhil tarai aur pahad diyehum ne in sab ki gardan mein panje gad diye
zanjiron mein jakdi us munh-zor hawa ne phir
tod diye khidki darwaze par de phad diye
shabnam shabnam moti bo kar aasha baithi thi
lashkar aaya khet jalae ped ukhad diye
ret bhari nahron ko dekho bahna bhul gain
nafrat ki aandhi ne kitne shahr ujad diye
hum to gili ret the jis ko raunda jaana tha
us ne bhi kuchh naqsh banae aur bigad diye
laashe gadhti hai, mitti mein armaan milte hai
yaar muzaffar! sapne kyon mitti me maand diye - Muzaffar Hanfi