बचत
इन्ही दो से आबाद हर इक का घर हैकमाना है फ़न और बचाना हुनर है
ये बात आज ही सोचना है ज़रूरी
किसे है ख़बर आने वाले दिनों की
बुरे वक़्त में काम आएँगे अक्सर
रखोगे अगर चार पैसे बचा कर
बचत ही से मिल-जुल के बनती है दौलत
बचत ही से बढ़ती है मुल्कों की ताक़त
ये फ़स्लें ये बाज़ार ये कार-ख़ाने
बचत ने सँवारे हैं बिगड़े ज़माने
ज़रा जा के घर देख लो चियूँटियों का
वो दानों का करती हैं कैसे ज़ख़ीरा
यूँही क़तरा क़तरा समुंदर बनेगा
यूँही लम्हा लम्हा मुक़द्दर बनेगा
बचत की जो बचपन से डालोगे आदत
बड़े हो के पाओगे दुनिया में राहत
- अब्दुल अहद साज़
bachat
inhi do se aabaad har ek ka ghar haikamana hai fan aur bachana hunar hai
ye baat aaj hi sochna hai zaruri
kise hai khabar aane wale dinon ki
bure waqt mein kaam aaenge aksar
rakhoge agar chaar paise bacha kar
bachat hi se mil-jul ke banti hai daulat
bachat hi se badhti hai mulkon ki taqat
ye faslen ye bazar ye kar-khane
bachat ne sanware hain bigde zamane
zara ja ke ghar dekh lo chiyuntiyon ka
wo danon ka karti hain kaise zakhira
yunhi qatra qatra samundar banega
yunhi lamha lamha muqaddar banega
bachat ki jo bachpan se daloge aadat
bade ho ke paoge duniya mein rahat
Abdul Ahad Saaz