यूँ तो आपस में बिगड़ते हैं ख़फ़ा होते हैं
यूँ तो आपस में बिगड़ते हैं ख़फ़ा होते हैंमिलने वाले कहीं उल्फ़त में जुदा होते हैं
हैं ज़माने में अजब चीज़ मोहब्बत वाले
दर्द ख़ुद बनते हैं ख़ुद अपनी दवा होते हैं
हाल-ए-दिल मुझ से न पूछो मिरी नज़रें देखो
राज़ दिल के तो निगाहों से अदा होते हैं
मिलने को यूँ तो मिला करती हैं सब से आँखें
दिल के आ जाने के अंदाज़ जुदा होते हैं
ऐसे हंस हंस के न देखा करो सब की जानिब
लोग ऐसी ही अदाओं पे फ़िदा होते हैं - मजरूह सुल्तानपुरी
yun to aapas mein bigadte hain khafa hote hain
yun to aapas mein bigadte hain khafa hote hainmilne wale kahin ulfat mein juda hote hain
hain zamane mein ajab chiz mohabbat wale
dard khud bante hain khud apni dawa hote hain
haal-e-dil mujh se na puchho meri nazren dekho
raaz dil ke to nigahon se ada hote hain
milne ko yun to mila karti hain sab se aankhen
dil ke aa jaane ke andaz juda hote hain
aise hans hans ke na dekha karo sab ki jaanib
log aisi hi adaon pe fida hote hain - Majrooh Sultanpuri