तीन रंग एक रंग
तुम पतंग बन के हवाओं में तैरती फिरोऔर डोर मिरे हाथों को काटती रहे
पर पर ज़ख़्मी और आँखें तेरे रंगों में उलझी रहें
लहू बहता रहे
और आस तुझे चाहने की
आसमान बन के तिरे चारों तरफ़ बिखर जाए
शाम उतरे तो तेरी आँखों का रंग
मुझे अपनी पनाह में समेट ले
और तेरी राहों पर मेरा इक इक लम्स बिखेर दे
तेरी राहों का कुछ पता तो होगा
और तेरे वक़्त की कोई मंज़िल तो होगी जान
-2-
एक मैं तन्हा एक वो तन्हा
एक वो जिस से मैं तुम्हारी कथा कहता हूँ
एक वो जो किसी की कथा से मुझ में ज़िंदा
और तुम तन्हा
लो ये भी कोई बात हुई तुम ने कहा
हाँ ये बातें और इन बातों के नुकीले कुंगरे
जब तेरी जान में अटकते हैं
तो तुम्हारे नाख़ुनों में ऐसी शफ़क़ दहकती है
जो सुन न सके कुछ कह न सके
तब मेरी उमंगों पर इक आग लहराती है
और मैं तुझे उन ख़ुद-रौ जंगली फूलों से तश्बीह देता हूँ
जो सिर्फ़ अपनी वहशत में ज़िंदा रहते हैं
-3-
ज़ख़्म खुल गए हैं जानाँ
और हवाएँ चारों तरफ़ से उमडी पड़ी हैं
teen rang ek rang
tum patang ban ke hawaon mein tairti phiroaur dor mere hathon ko katti rahe
par par zakhmi aur aankhen tere rangon mein uljhi rahen
lahu bahta rahe
aur aas tujhe chahne ki
aasman ban ke tere chaaron taraf bikhar jae
sham utre to teri aankhon ka rang
mujhe apni panah mein samet le
aur teri rahon par mera ek ek lams bikher de
teri rahon ka kuchh pata to hoga
aur tere waqt ki koi manzil to hogi jaan
-2-
ek main tanha ek wo tanha
ek wo jis se main tumhaari katha kahta hun
ek wo jo kisi ki katha se mujh mein zinda
aur tum tanha
lo ye bhi koi baat hui tum ne kaha
han ye baaten aur in baaton ke nukile kungre
jab teri jaan mein atakte hain
to tumhaare nakhunon mein aisi shafaq dahakti hai
jo sun na sake kuchh kah na sake
tab meri umangon par ek aag lahraati hai
aur main tujhe un khud-raw jangali phulon se tashbih deta hun
jo sirf apni wahshat mein zinda rahte hain
-3-
zakhm khul gae hain jaanan
aur hawaen chaaron taraf se umdi padi hain
-Faheem Jozi