खड़े है मुझको खरीदार देखने के लिए
खड़े है मुझको खरीदार देखने के लिएमै घर से निकला था बाज़ार देखने के लिए
हज़ार बार हजारो की सम्त देखते है
तरस गए तुझे एक बार देखने के लिए
कतार में कई नाबीना लोग शामिल है
अमीरे-शहर का दरबार देखने के लिए
जगाए रखता हूँ सूरज को अपनी पलकों पर
ज़मीं को ख़्वाब से बेदार देखने के लिए
अजीब शख्स है लेता है जुगनुओ से खिराज़
शबो को अपने चमकदार देखने के लिए
हर एक हर्फ़ से चिंगारियाँ निकलती है
कलेजा चाहिए अखबार देखने के लिए - राहत इंदौरी
khade hai mujhko kharidar kharidane ke liye
khade hai mujhko kharidar kharidane ke liyemai ghar se nikla tha bazar dekhne ke liye
hazar baar hazaro ki samt dekhte hai
taras gaye tujhe ek baar dekhne ke liye
kataar me kai nabina log shamil hai
amire-shahar ka darbaar dekhne ke liye
jagaye rakhta hun suraj ko apni palko par
zameeN ko khawab se bedar dekhne ke liye
ajeeb shakhs hai leta hai jugnuo se khiraz
shabo ko apne chamakdar dekhne ke liye
har ek harf se chingariya nikalati hai
kaleja chahiye akhbaar dekhne ke liye - Rahat Indori