कहीं मंदिरों में दिया नहीं कहीं मस्जिदों में दुआ नहीं - शकील आज़मी

कहीं मंदिरों में दिया नहीं कहीं मस्जिदों में दुआ नहीं

कहीं मंदिरों में दिया नहीं कहीं मस्जिदों में दुआ नहीं
मिरे शहर में हैं ख़ुदा बहुत मगर आदमी का पता नहीं

यहाँ घाव है यहाँ वार है ये सियासतों का दयार है
यहाँ कोई तेरा जना नहीं यहाँ कोई मेरा सगा नहीं

ये जो दिल में दर्द का राग है ये दबी हुई कोई आग है
मैं वो ज़ख़्म हूँ जो भरा नहीं मैं वो दाग़ हूँ जो मिटा नहीं

कहीं यूँ न हो तिरे हाथ में मैं हवा से मिल के भड़क उठूँ
अभी खेल मत मिरी राख से मैं सुलग रहा हूँ बुझा नहीं

मिरी ताज़गी से डरे हुए हैं कई पुराने गुलाब भी
मिरे हक़ में लोगो दुआ करो अभी ठीक से मैं खिला नहीं

न मैं भीड़ हूँ न मैं शोर हूँ मैं इसी लिए कोई और हूँ
कई रंग आए गए मगर कोई रंग मुझ पे चढ़ा नहीं

वो जो हाल चढ़ के उतर गया जो ख़याल थम के गुज़र गया
कभी तू ने मुझ से सुना नहीं कभी मैं ने तुझ से कहा नहीं

न तो मेरा कोई रक़ीब था न तो मेरा कोई हबीब था
तुझे खोना मेरा नसीब था मुझे तुझ से कोई गिला नहीं

मुझे शेर कहना था कह दिया मुझे शेर पढ़ना था पढ़ दिया
मुझे तालियों की हवस नहीं मुझे शोहरतों का नशा नहीं

ये जो बोतलों में शराब है ये ख़राब थी ये ख़राब है
इसे छोड़ दे इसे तोड़ दे ये किसी मरज़ की दवा नहीं - शकील आज़मी


kahin mandiron mein diya nahin kahin masjidon mein dua nahin

kahin mandiron mein diya nahin kahin masjidon mein dua nahin
mere shahr mein hain khuda bahut magar aadmi ka pata nahin

yahan ghaw hai yahan war hai ye siyasaton ka dayar hai
yahan koi tera jana nahin yahan koi mera saga nahin

ye jo dil mein dard ka rag hai ye dabi hui koi aag hai
main wo zakhm hun jo bhara nahin main wo dagh hun jo mita nahin

kahin yun na ho tere hath mein main hawa se mil ke bhadak uthun
abhi khel mat meri rakh se main sulag raha hun bujha nahin

meri tazgi se dare hue hain kai purane gulab bhi
mere haq mein logo dua karo abhi thik se main khila nahin

na main bhid hun na main shor hun main isi liye koi aur hun
kai rang aae gae magar koi rang mujh pe chadha nahin

wo jo haal chadh ke utar gaya jo khayal tham ke guzar gaya
kabhi tu ne mujh se suna nahin kabhi main ne tujh se kaha nahin

na to mera koi raqib tha na to mera koi habib tha
tujhe khona mera nasib tha mujhe tujh se koi gila nahin

mujhe sher kahna tha kah diya mujhe sher padhna tha padh diya
mujhe taliyon ki hawas nahin mujhe shohraton ka nasha nahin

ye jo botalon mein sharab hai ye kharab thi ye kharab hai
ise chhod de ise tod de ye kisi maraz ki dawa nahin - Shakeel Azmi

Post a Comment

कृपया स्पेम न करे |

Previous Post Next Post