शब की तारीकी में भी इक दम सवेरा हो गया
शब की तारीकी में भी इक दम सवेरा हो गयाअंजुमन में उन के आने से उजाला हो गया
वो था बद-क़िस्मत निगाहें जिस ने उन से फेर लीं
बज़्म में होते हुए वो शख़्स तन्हा हो गया
दुश्मनों की ज़हर-अफ़्शानी से था मैं फ़िक्रमंद
लब पे उन का नाम क्या आया मैं दरिया हो गया
क़त्ल इंसाँ हो रहा है नफ़रतों की भीड़ में
हाए ख़ून इंसान का किस दर्जा सस्ता हो गया
ये भी मोबाइल का इक अदना करिश्मा है मियाँ
वक़्त से पहले ही हर बच्चा सियाना हो गया
आदमी ही से ख़ताएँ होती हैं ऐ दोस्तो
किस ने कब दा'वा किया 'रहबर' फ़रिश्ता हो गया - रहबर प्रतापगढ़ी
shab ki tariki mein bhi ek dam sawera ho gaya
shab ki tariki mein bhi ek dam sawera ho gayaanjuman mein un ke aane se ujala ho gaya
wo tha bad-qismat nigahen jis ne un se pher lin
bazm mein hote hue wo shakhs tanha ho gaya
dushmanon ki zahr-afshani se tha main fikrmand
lab pe un ka nam kya aaya main dariya ho gaya
qatl insan ho raha hai nafraton ki bhid mein
hae khun insan ka kis darja sasta ho gaya
ye bhi mobile ka ek adna karishma hai miyan
waqt se pahle hi har bachcha siyana ho gaya
aadmi hi se khataen hoti hain ai dosto
kis ne kab da'wa kiya 'rahbar' farishta ho gaya- Rahbar Pratapgarhi