रात भी, नींद भी, कहानी भी
रात भी, नींद भी, कहानी भीहाय, क्या चीज़ है जवानी भी
दिल को शोलों से करती है सेराब
ज़िन्दगी आग भी है, पानी भी
ख़ल्क़ क्या क्या मुझे नहीं कहती
कुछ सुनूं मैं तेरी ज़ुबानी भी
पास रहना किसी का रात की रात
मेहमानी भी, मेज़बानी भी - फ़िराक़ गोरखपुरी
raat bhi neend bhi kahani bhi
raat bhi neend bhi kahani bhihaaye kya cheez hai jawani bhi
dil ko sholon se karti hai seraab
zindagi aag bhi hai paani bhi
khalq kya kya mujhe nahin kehti
kuch sunoon main teri zubani bhi
paas rehna kisi ka raat ki raat
mehmaani bhi mezbani bhi - Firaq Gorakhpuri