इस कदर कोई बड़ा हो, मुझे मंजूर नहीं
इस कदर कोई बड़ा हो, मुझे मंजूर नहींकोई बन्दों में खुदा हो, मुझे मंजूर नहीं
रौशनी छीन के घर-घर से चराग़ो की अगर
चाँद बस्ती में उगा हो, मुझे मंजुर नहीं
मुस्कुराते हुए कलियों को मसलते जाना
आपकी एक अदा हो, मुझे मंजुर नहीं
सीख ले दोस्त भी कुछ तो तजुर्बे से कभी
काम ये सिर्फ मेरा हो, मुझे मंजुर नहीं
खूब तु, खूब तेरा शहर है, ता-उम्र मगर,
एक ही आबो-हवा हो, मुझे मंजुर नहीं
हूँ मैं कुछ आज अगर तो हूँ बदोलत उसकी
मेरे दुश्मन का बुरा हो, मुझे मंजुर नहीं
हो चरागाँ तेरे घर में, मुझे मंजूर सलिल,
गुल कहीं और दिया हो, मुझे मंजुर नहीं - कुलदीप सलिल
is kadar koi bada ho, mujhe manjur nahin
is kadar koi bada ho, mujhe manjur nahinkoi bando mein khuda ho, mujhe manjur nahin
roshni chheen ke ghar-ghar se charagho ki agar
chaand basti mein uga ho, mujhe manjur nahin
muskurate hue kaliyon ko masalate jana
aapki ek ada ho, mujhe manjur nahin
seekh le dost bhi kuchh to tajurbe se kabhi
kaam ye sirf mera ho, mujhe manjur nahin
khub tu, khub tera shahar hai, ta-umra magar,
ek hi aabo-hawa ho, mujhe manjur nahin
hun mai kuchh aaj agar to hun badolat uski
mere dushman ka bura ho, mujhe manjur nahin
ho charagha tere ghar mein, mujhe manjur salil,
gul kahin aur diya ho, mujhe manjur nahin - Kuldeep Salil