
ख़ुदा के घर सड़क कोई नहीं जाती
ख़ुदा के घर सड़क कोई नहीं जातीचलो पैदल वहाँ लॉरी नहीं जाती
चली जाती है हँसने और हँसाने से
दवा खाने से बीमारी नहीं जाती
ज़ियादा सोचने से नींद जाती है
मगर इस से परेशानी नहीं जाती
मुआ'फ़ी माँ ने दे दी ख़्वाब में आ कर
मगर सर से पशेमानी नहीं जाती
उसे जाने दिया रोका नहीं मैं ने
कभी उस की ये हैरानी नहीं जाती
मोहब्बत हो गई तो हो गई 'आतिश'
कभी ये वाली बीमारी नहीं जाती - आतिश इंदौरी
khuda ke ghar sadak koi nahin jati
khuda ke ghar sadak koi nahin jatichalo paidal wahan lorry nahin jati
chali jati hai hansne aur hansane se
dawa khane se bimari nahin jati
ziyaada sochne se nind jati hai
magar is se pareshani nahin jati
muafi man ne de di khwab mein aa kar
magar sar se pashemani nahin jati
use jaane diya roka nahin main ne
kabhi us ki ye hairani nahin jati
mohabbat ho gai to ho gai 'atish'
kabhi ye wali bimari nahin jati - Aatish Indori