सर छुपाने के लिए छत नहीं दी जा सकती
सर छुपाने के लिए छत नहीं दी जा सकतीहर किसी को ये सहूलत नहीं दी जा सकती
साँस लेने के लिए सब को मयस्सर है हवा
इस से बढ़ कर तो रिआयत नहीं दी जा सकती
तुम को रास आए न आए मिरी बस्ती की फ़ज़ा
याँ किसी जाँ की ज़मानत नहीं दी जा सकती
एक मुद्दत के शब ओ रोज़ लहू होते हैं
तश्त में रख के क़यादत नहीं दी जा सकती
ज़ीस्त और मौत का आख़िर ये फ़साना क्या है
उम्र क्यूँ हस्ब-ए-ज़रूरत नहीं दी जा सकती
इन दरीचों से कोई मौजा-ए-ख़ुश-कुन आए
राहत-ए-जाँ ये इजाज़त नहीं दी जा सकती
सोज़-ए-दिल तोहफ़ा-ए-क़ुदरत है वगरना 'उज़मा'
बर्फ़ को नर्म हरारत नहीं दी जा सकती - ख़ालिदा उज़्मा
sar chhupane ke liye chhat nahin di ja sakti
sar chhupane ke liye chhat nahin di ja saktihar kisi ko ye sahulat nahin di ja sakti
sans lene ke liye sab ko mayassar hai hawa
is se badh kar to riayat nahin di ja sakti
tum ko ras aae na aae meri basti ki faza
yan kisi jaan ki zamanat nahin di ja sakti
ek muddat ke shab o roz lahu hote hain
tasht mein rakh ke qayaadat nahin di ja sakti
zist aur maut ka aakhir ye fasana kya hai
umr kyun hasb-e-zarurat nahin di ja sakti
in darichon se koi mauja-e-khush-kun aae
rahat-e-jaan ye ijazat nahin di ja sakti
soz-e-dil tohfa-e-qudrat hai wagarna 'uzma'
barf ko narm hararat nahin di ja sakti - Khalida Uzma