देखो उस ने क़दम क़दम पर साथ दिया बेगाने का
देखो उस ने क़दम क़दम पर साथ दिया बेगाने का'अख़्तर' जिस ने अहद किया था तुम से साथ निभाने का
आज हमारे क़दमों में है काहकशाँ शहर-ए-महताब
कल तक लोग कहा करते थे ख़्वाब उसे दीवाने का
तेरे लब-ओ-रुख़्सार के क़िस्से तेरे क़द-ओ-गेसू की बात
सामाँ हम भी रखते हैं तन्हाई में दिल बहलाने का
तुम भी सुनते तो रो देते हम भी कहते तो रोते
जान के हम ने छोड़ दिया है इक हिस्सा अफ़्साने का
कुछ तो है जो अपनाया है हम ने कू-ए-मलामत को
वैसे और तरीक़ा भी था 'अख्तर' दिल बहलाने का - अख्तर लख़नवी
dekho us ne qadam qadam par sath diya begane ka
dekho us ne qadam qadam par sath diya begane ka'akhtar' jis ne ahad kiya tha tum se sath nibhane ka
aaj hamare qadmon mein hai kahkashan shahr-e-mahtab
kal tak log kaha karte the khwab use diwane ka
tere lab-o-rukhsar ke qisse tere qad-o-gesu ki baat
saman hum bhi rakhte hain tanhai mein dil bahlane ka
tum bhi sunte to ro dete hum bhi kahte to rote
jaan ke hum ne chhod diya hai ek hissa afsane ka
kuchh to hai jo apnaya hai hum ne ku-e-malamat ko
waise aur tariqa bhi tha 'akhtar' dil bahlane ka - Akhtar Lakhnvi