उस की हसरत है जिसे दिल से मिटा भी न सकूँ
उस की हसरत है जिसे दिल से मिटा भी न सकूँढूँडने उस को चला हूँ जिसे पा भी न सकूँ
डाल के ख़ाक मेरे ख़ून पे क़ातिल ने कहा
कुछ ये मेहंदी नहीं मेरी कि छुपा भी न सकूँ
ज़ब्त कम-बख़्त ने याँ आ के गला घोंटा है
कि उसे हाल सुनाऊँ तो सुना भी न सकूँ
नक़्श-ए-पा देख तो लूँ लाख करूँगा सज्दे
सर मिरा अर्श नहीं है जो झुका भी न सकूँ
बेवफ़ा लिखते हैं वो अपने क़लम से मुझ को
ये वो क़िस्मत का लिखा है जो मिटा भी न सकूँ
इस तरह सोए हैं सर रख के मिरे ज़ानू पर
अपनी सोई हुई क़िस्मत को जगा भी न सकूँ - अमीर मीनाई
us ki hasrat hai jise dil se mita bhi na sakun
us ki hasrat hai jise dil se mita bhi na sakundhundne us ko chala hun jise pa bhi na sakun
dal ke khak mere khun pe qatil ne kaha
kuchh ye mehndi nahin meri ki chhupa bhi na sakun
zabt kam-bakht ne yan aa ke gala ghonta hai
ki use haal sunaun to suna bhi na sakun
naqsh-e-pa dekh to lun lakh karunga sajde
sar mera arsh nahin hai jo jhuka bhi na sakun
bewafa likhte hain wo apne qalam se mujh ko
ye wo qismat ka likha hai jo mita bhi na sakun
is tarah soe hain sar rakh ke mere zanu par
apni soi hui qismat ko jaga bhi na sakun - Ameer Minai