हाल-ए-दिल मैं सुना नहीं सकता
हाल-ए-दिल मैं सुना नहीं सकतालफ़्ज़ माना को पा नहीं सकता
इश्क़ नाज़ुक-मिज़ाज है बेहद
अक़्ल का बोझ उठा नहीं सकता
होश आरिफ़ की है यही पहचान
कि ख़ुदी में समा नहीं सकता
पोंछ सकता है हम-नशीं आँसू
दाग़-ए-दिल को मिटा नहीं सकता
मुझ को हैरत है उस की क़ुदरत पर
अलम उस को घटा नहीं सकता - अकबर इलाहाबादी
haal-e-dil main suna nahin sakta
haal-e-dil main suna nahin saktalafz mana ko pa nahin sakta
ishq nazuk-mizaj hai behad
aql ka bojh utha nahin sakta
hosh aarif ki hai yahi pahchan
ki khudi mein sama nahin sakta
ponchh sakta hai ham-nashin aansu
dagh-e-dil ko mita nahin sakta
mujh ko hairat hai us ki qudrat par
alam us ko ghata nahin sakta - Akbar Allahabadi