बाहर का धन आता जाता असल ख़ज़ाना घर में है
बाहर का धन आता जाता असल ख़ज़ाना घर में हैहर धूप में जो मुझे साया दे वो सच्चा साया घर में है
पाताल के दुख वो क्या जानें जो सत्ह पे हैं मिलने वाले
हैं एक हवाला दोस्त मिरे और एक हवाला घर में है
मिरी उम्र के इक इक लम्हे को मैं ने क़ैद किया है लफ़्ज़ों में
जो हारा हूँ या जीता हूँ वो सब सरमाया घर में है
तू नन्हा-मुन्ना एक दिया मैं एक समुंदर अँधियारा
तू जलते जलते बुझने लगा और फिर भी अँधेरा घर में है
क्या स्वाँग भरे रोटी के लिए इज़्ज़त के लिए शोहरत के लिए
सुनो शाम हुई अब घर को चलो कोई शख़्स अकेला घर में है
इक हिज्र-ज़दा बाबुल पियारी तिरे जागते बच्चों से हारी
ऐ शायर किस दुनिया में है तू तिरी तन्हा दुनिया घर में है
दुनिया में खपाए साल कई आख़िर में खुला अहवाल यही
वो घर का हो या बाहर का हर दुख का मुदावा घर में है - उबैदुल्लाह अलीम
bahar ka dhan aata jata asal khazana ghar mein hai
bahar ka dhan aata jata asal khazana ghar mein haihar dhup mein jo mujhe saya de wo sachcha saya ghar mein hai
patal ke dukh wo kya jaanen jo sath pe hain milne wale
hain ek hawala dost mere aur ek hawala ghar mein hai
meri umr ke ek ek lamhe ko main ne qaid kiya hai lafzon mein
jo haara hun ya jita hun wo sab sarmaya ghar mein hai
tu nanha-munna ek diya main ek samundar andhiyara
tu jalte jalte bujhne laga aur phir bhi andhera ghar mein hai
kya swang bhare roti ke liye izzat ke liye shohrat ke liye
suno sham hui ab ghar ko chalo koi shakhs akela ghar mein hai
ek hijr-zada babul piyari tere jagte bachchon se haari
ai shayar kis duniya mein hai tu teri tanha duniya ghar mein hai
duniya mein khapae sal kai aakhir mein khula ahwal yahi
wo ghar ka ho ya bahar ka har dukh ka mudawa ghar mein hai - Obaidullah Aleem