हम अपनी मोहब्बत का तमाशा नहीं करते - मुशताक़ सदफ़

हम अपनी मोहब्बत का तमाशा नहीं करते

हम अपनी मोहब्बत का तमाशा नहीं करते
करते हैं अगर कुछ तो दिखावा नहीं करते

ये सच है कि दुनिया की रविश ठीक नहीं है
कुछ हम भी तो दुनिया को गवारा नहीं करते

इक बार तो मेहमान बनें घर पे हमारे
ये उन से गुज़ारिश है तक़ाज़ा नहीं करते

दुनिया के झमेले ही कुछ ऐसे हैं कि उन को
हम भूल तो जाते हैं भुलाया नहीं करते

फ़र्दा पे हैं नज़रें तो कभी हाल पे नज़रें
माज़ी को मगर मुड़ के भी देखा नहीं करते

जिन में कि बुज़ुर्गों की कोई क़द्र नहीं हो
हम ऐसे घरों में कभी रिश्ता नहीं करते

बारिश हो कि तूफ़ान हो या आग का जंगल
हम घर से निकल जाएँ तो सोचा नहीं करते

जो ख़्वाब नज़र आता है सरसब्ज़ ज़मीं का
उस ख़्वाब की ताबीर बताया नहीं करते

बाज़ार में बिकते नहीं वो लोग उमूमन
रिश्तों का जो अपने कभी सौदा नहीं करते - मुशताक़ सदफ़


hum apni mohabbat ka tamasha nahin karte

hum apni mohabbat ka tamasha nahin karte
karte hain agar kuchh to dikhawa nahin karte

ye sach hai ki duniya ki rawish thik nahin hai
kuchh hum bhi to duniya ko gawara nahin karte

ek bar to mehman banen ghar pe hamare
ye un se guzarish hai taqaza nahin karte

duniya ke jhamele hi kuchh aise hain ki un ko
hum bhul to jate hain bhulaya nahin karte

farda pe hain nazren to kabhi haal pe nazren
mazi ko magar mud ke bhi dekha nahin karte

jin mein ki buzurgon ki koi qadr nahin ho
hum aise gharon mein kabhi rishta nahin karte

barish ho ki tufan ho ya aag ka jangal
hum ghar se nikal jaen to socha nahin karte

jo khwab nazar aata hai sarsabz zamin ka
us khwab ki tabir bataya nahin karte

bazar mein bikte nahin wo log umuman
rishton ka jo apne kabhi sauda nahin karte - Mushtaq Sadaf
हम अपनी मोहब्बत का तमाशा नहीं करते - मुशताक़ सदफ़, hum apni mohabbat ka tamasha nahin karte

Post a Comment

कृपया स्पेम न करे |

Previous Post Next Post