एक मुद्दत से तो ठहरे हुए पानी में हूँ मैं
एक मुद्दत से तो ठहरे हुए पानी में हूँ मैंऔर हद ये है कि कहना है रवानी में हूँ मैं
ज़िंदगी जकड़े हुए थी मिरे अंदर मुझ को
मौत के बअ'द लगा जैसे रवानी में हूँ मैं
मेरे होने पे जहाँ मुझ को ही शक होता था
आज उस शहर की नायाब निशानी में हूँ मैं
मेरा किरदार तो बिल्कुल भी नहीं मुझ जैसा
कोई बतलाए मुझे किस की कहानी में हूँ मैं
कितनी ही तरह से काग़ज़ पे लिखूँ ख़ुद को मगर
मुझ को मालूम है बस एक मआ'नी में हूँ मैं
ख़ुद को ता'मीर करूँ और बिखर भी जाऊँ
अपनी नाकाम तमन्नाओं के सानी में हूँ मैं
क़ब्र वीरान मिरे जिस्म से बढ़ कर तो नहीं
किस लिए ख़ौफ़-ज़दा नक़्ल-ए-मकानी में हूँ मैं
हादसे, दर्द, घुटन सारे वही हैं केवल
अब के किरदार किसी और कहानी में हूँ मैं
मेरे जज़्बात तो बूढ़ों की तरह लगते हैं
सिर्फ़ चेहरा ये बताता है जवानी में हूँ मैं - इमरान बदायुनी
Ek muddat se to thahre hue pani mein hun main
ek muddat se to thahre hue pani mein hun mainaur had ye hai ki kahna hai rawani mein hun main
zindagi jakde hue thi mere andar mujh ko
maut ke baad laga jaise rawani mein hun main
mere hone pe jahan mujh ko hi shak hota tha
aaj us shahr ki nayab nishani mein hun main
mera kirdar to bilkul bhi nahin mujh jaisa
koi batlae mujhe kis ki kahani mein hun main
kitni hi tarah se kaghaz pe likhun khud ko magar
mujh ko malum hai bas ek maani mein hun main
khud ko tamir karun aur bikhar bhi jaun
apni nakaam tamannaon ke sani mein hun main
qabr viran mere jism se badh kar to nahin
kis liye khauf-zada naql-e-makani mein hun main
hadse dard ghutan sare wahi hain kewal
ab ke kirdar kisi aur kahani mein hun main
mere jazbaat to budhon ki tarah lagte hain
sirf chehra ye batata hai jawani mein hun main - Imran Badayuni