बुलाती है मगर जाने का नईं
बुलाती है मगर जाने का नईंवो दुनिया है उधर जाने का नईं
ज़मीं रखना पड़े सर पर तो रक्खो
चलो हो तो ठहर जाने का नईं
है दुनिया छोड़ना मंज़ूर लेकिन
वतन को छोड़ कर जाने का नईं
जनाज़े ही जनाज़े हैं सड़क पर
अभी माहौल मर जाने का नईं
सितारे नोच कर ले जाऊँगा
मैं ख़ाली हाथ घर जाने का नईं
मिरे बेटे किसी से इश्क़ कर
मगर हद से गुज़र जाने का नईं
वो गर्दन नापता है नाप ले
मगर ज़ालिम से डर जाने का नईं
सड़क पर अर्थियाँ ही अर्थियाँ हैं
अभी माहौल मर जाने का नईं
वबा फैली हुई है हर तरफ़
अभी माहौल मर जाने का नईं - राहत इंदौरी
bulati hai magar jaane ka nain
bulati hai magar jaane ka nainwo duniya hai udhar jaane ka nain
zamin rakhna pade sar par to rakkho
chalo ho to thahar jaane ka nain
hai duniya chhodna manzur lekin
watan ko chhod kar jaane ka nain
janaze hi janaze hain sadak par
abhi mahaul mar jaane ka nain
sitare noch kar le jaunga
main khali hath ghar jaane ka nain
mere bete kisi se ishq kar
magar had se guzar jaane ka nain
wo gardan napta hai nap le
magar zalim se dar jaane ka nain
sadak par arthiyan hi arthiyan hain
abhi mahaul mar jaane ka nain
waba phaili hui hai har taraf
abhi mahaul mar jaane ka nain - Rahat Indori