ये ख़बर भी छापिएगा आज के अख़बार में
ये ख़बर भी छापिएगा आज के अख़बार मेंरूह भी बिकने लगी है जिस्म के बाज़ार में
देख कर बच्चों के फैशन वो भी नंगा हो गया
ये इज़ाफ़ा भी हुआ इस दौर की रफ़्तार में
आज बस्ती में मचा कोहराम तो उस ने कहा
मौत किस के घर हुई पढ़ लेंगे कल अख़बार में
अब तो हर त्यौहार का हम को पता चलता है तब
जब पुलिस की गश्त बढ़ती शहर के बाज़ार में
अपनी शादी पे छपाए उस ने अंग्रेज़ी में कार्ड
वो जो हिन्दी बोलता था रोज़ के व्यवहार में
वो तड़प वो चिट्ठियाँ वो याद वो बे-चैनियाँ
सब पुराने बाट हैं अब प्यार के व्यापार में
मेहमानों कुछ न कुछ ले कर ही जाना तुम वहाँ
दावतें अब ढल चुकी हैं पूरे कारोबार में - डॉ. उर्मिलेश
ye khabar bhi chhapiyega aaj ke akhbar mein
ye khabar bhi chhapiyega aaj ke akhbar meinrooh bhi bikne lagi hai jism ke bazar mein
dekh kar bachchon ke fashion wo bhi nanga ho gaya
ye izafa bhi hua is daur ki raftar mein
aaj basti mein macha kohram to us ne kaha
maut kis ke ghar hui padh lenge kal akhbar mein
ab to har tyauhaar ka hum ko pata chalta hai tab
jab police ki gasht badhti shahar ke bazar mein
apni shadi pe chhapae us ne angrezi mein card
wo jo hindi bolta tha roz ke vyavhaar mein
wo tadap wo chitthiyan wo yaad wo be-chainiyan
sab purane bat hain ab pyar ke vyapar mein
mehmanon kuchh na kuchh le kar hi jaana tum wahan
dawaten ab dhal chuki hain pure karobar mein - Dr. Urmilesh