मैं किसी शख़्स से बेज़ार नहीं हो सकता - अहमद नदीम क़ासमी

मैं किसी शख़्स से बेज़ार नहीं हो सकता

मैं किसी शख़्स से बेज़ार नहीं हो सकता
एक ज़र्रा भी तो बेकार नहीं हो सकता

इस क़दर प्यार है इंसाँ की ख़ताओं से मुझे
कि फ़रिश्ता मिरा मेआ'र नहीं हो सकता

ऐ ख़ुदा फिर ये जहन्नम का तमाशा किया है
तेरा शहकार तो फ़िन्नार नहीं हो सकता

ऐ हक़ीक़त को फ़क़त ख़्वाब समझने वाले
तू कभी साहिब-ए-असरार नहीं हो सकता

तू कि इक मौजा-ए-निकहत से भी चौंक उठता है
हश्र आता है तो बेदार नहीं हो सकता

सर-ए-दीवार ये क्यूँ निर्ख़ की तकरार हुई
घर का आँगन कभी बाज़ार नहीं हो सकता

राख सी मज्लिस-ए-अक़्वाम की चुटकी में है क्या
कुछ भी हो ये मिरा पिंदार नहीं हो सकता

इस हक़ीक़त को समझने में लुटाया क्या कुछ
मेरा दुश्मन मिरा ग़म-ख़्वार नहीं हो सकता

मैं ने भेजा तुझे ऐवान-ए-हुकूमत में मगर
अब तो बरसों तिरा दीदार नहीं हो सकता

तीरगी चाहे सितारों की सिफ़ारिश लाए
रात से मुझ को सरोकार नहीं हो सकता

वो जो शे'रों में है इक शय पस-ए-अल्फ़ाज़ 'नदीम'
उस का अल्फ़ाज़ में इज़हार नहीं हो सकता - अहमद नदीम क़ासमी


main kisi shakhs se bezar nahin ho sakta

main kisi shakhs se bezar nahin ho sakta
ek zarra bhi to bekar nahin ho sakta

is qadar pyar hai insan ki khataon se mujhe
ki farishta mera meaar nahin ho sakta

ae khuda phir ye jahannam ka tamasha kiya hai
tera shahkar to finnar nahin ho sakta

ae haqiqat ko faqat khwab samajhne wale
tu kabhi sahab-e-asrar nahin ho sakta

tu ki ek mauja-e-nikhat se bhi chaunk uthta hai
hashr aata hai to bedar nahin ho sakta

sar-e-diwar ye kyun nirkh ki takrar hui
ghar ka aangan kabhi bazar nahin ho sakta

rakh si majlis-e-aqwam ki chutki mein hai kya
kuchh bhi ho ye mera pindar nahin ho sakta

is haqiqat ko samajhne mein lutaya kya kuchh
mera dushman mera gham-khwar nahin ho sakta

main ne bheja tujhe aiwan-e-hukumat mein magar
ab to barson tera didar nahin ho sakta

tirgi chahe sitaron ki sifarish laye
raat se mujh ko sarokar nahin ho sakta

wo jo shero mein hai ek shai pas-e-alfaz 'nadim'
us ka alfaz mein izhaar nahin ho sakta - Ahmad Nadeem Qasmi

Post a Comment

कृपया स्पेम न करे |

Previous Post Next Post