भिखारन
अभी लोग पूरी तरह से जागते भी नहींजब वो आती है
इक इक गली वो सदाए लगाती है
दो चार ऐसे भी दर है
जिन्हें खटखटाती है
फिर जैसे दिन के समुन्दर में
गोता लगाती है और डूब जाती है
लेकिन अभी सुबह पूरी तरह से
चटखती नहीं
जब वो... जैसे ज़मीन से उग आती है
फिर से सदाए लगाती है
हर बार सिर्फ इतना कहती है
मुझको खुदा चाहिए
ऐ खुदा के बहुत नेक बन्दों
फ़कत एक पल को तुम्हारा खुदा चाहिए
उस खुदा ने मुझे जो हया दी
उसे ढाकने के लिए एक रिदा चाहिए - अहमद नदीम कासमी
Bhikharan
abhi log puri tarah se jagte bhi nahijab wo aati hai
ek ek gali wo sadaye lagati hai
do char aise bhi dar hai
jinhe khatkhatati hai
phir jaise din ke samundar me
gota lagati hai aur doob jati hai
lekin abhi subah puri tarah se
chatkhati nahin
jab wo... jaise zameen se ug aati hai
phir se sadaye lagati hai
har baar sirf itna kahti hai
mujhko khuda chahiye
ae khuda ke bahut nake bando
fakat ek pal ko tumhara khuda chahiye
us khuda ne mujhe jo haya di
use dhakane ke liye ek rida chahiye - Ahmad Nadeem Qasami