बेसबब रूठ के जाने के लिए आए थे
बेसबब रूठ के जाने के लिए आए थेआप तो हमको मनाने के लिए आए थे
ये जो कुछ लोग खमीदा हैं कमानोँ की तरह
आसमानोँ को झुकाने के लिए आए थे
हम को मालूम था दरिया में नहीं है पानी
सर को नेज़े पे चढ़ाने के लिए आए थे
इखतिलाफ़ों को अक़ीदे का नया नाम न दो
तुम ये दीवार गिराने के लिए आए थे
है कोई सिम्त कि बरसाए न हम पर पत्थर
हम यहाँ फूल खिलाने के लिए आए थे
हाथ की बर्फ़ न पिघले तो मुज़फ़्फ़र क्या हो
वो मेरी आग चुराने के लिए आए थे - मुज़फ़्फ़र हनफ़ी
Besabab rooth ke jaane ke liye aaye the
Besabab rooth ke jaane ke liye aaye theaap to hamko manane ke liye aaye the
ye jo kuch log khamida hai kamano ki tarah
aasano ko jhukane ke liye aaye the
ham ko maloom tha dariya me nahi hai paani
sar ko naize pe chadhane ke liye aaye the
ikhtilafo ko akido ka naya naam n do
tum ye deewar girane ke liye aaye the
hai koi simt ki barsaye n ham par patthar
ham yaha phool khilane ke liye aaaye the
haath ki barf n pighle to muzffar kya ho
wo meri aag churane ke liye aaye the - Muzaffar Hanfi