जेहन-ए-आदमियत पर मस्लेहत के पहरे है
जेहन-ए-आदमियत पर मस्लेहत के पहरे हैलोग जितने मुख्लिस है, जख्म उतने गहरे है
फुल है यहाँ कांटे, जिस्म है यहाँ पत्थर
किस जहा के वासी है, किस नगर में ठहरे है
जिंदगी का दरवाजा खटखटा के देखा है
इस मकान के मालिक मर चुके या बहरे है
किसके तन की रंगीनी मौज़ज़न है सीने में
आँख भी गुलाबी है, अश्क भी सुनहरे है
कैसे में अदब की हद फांद कर पियु शाहिद
रस भरी उन आँखों पर जब हया के पहरे है - शाहिद शैदाई
zahan-e-aadmiyat par maslehat ke pahre hai
zahan-e-aadmiyat par maslehat ke pahre hailog kitne mukhlis hai, zakhm utne gahre hai
phool hai yahan kaante, jism hai yahan patthar
kis jahan k wasi hai, kis nagar me thahre hai
zindagi ka darwaja khatkhata ke dekha hai
is makaan ke malik mar chuke ya bahre hai
kiske tan ki rangini mauzzn hai seene mein
aankh bhi gulabi hai, ashq bhi sunhare hai
kaise mein adab ki had fand kar piyu shahid
ras bhari un aankho par jab haya ke pahre hai - Shahid Shaidai