आसुओ से धुली ख़ुशी की तरह
आसुओ से धुली ख़ुशी की तरहरिश्ते होते है शायरी की तरह
हम खुदा बन के आयेंगे वरना
हम से मिल जाओ आदमी की तरह
बर्फ सीने की जैसे-जैसे गली
आँख खुलती गयी कली की तरह
जब कभी बादलो में घिरता है
चाँद लगता है आदमी की तरह
किसी रोज़न किसी दरीचे से
सामने आओ रौशनी की तरह
सब नजर का फरेब है वरना
कोई होता नहीं किसी की तरह
खुबसूरत, उदास, खौफजदा
वोह भी है बीसवी सदी की तरह
जानता हूँ कि एक दिन मुझको
वक़्त बदलेगा डायरी की तरह - बशीर बद्र
aansuon se dhuli khushi ki tarah
aansuon se dhuli khushi ki tarahrishte hote hain shayri ki tarah
ham khuda ban ke aayenge warna
ham se mil jao aadmi ki tarah
barf seene ki jaise jaise gali
aankh khulti gayi kali ki tarah
jab kabhi badlon me in ghirta hai
chand lagta hai aadmi ki tarah
kisi rozan kisi dareeche se
samne aao roshni ki tarah
sab nazar ka fareb hai warna
koi hota nahin kisi ki tarah
khubsoorat udaas khaufzada
woh bhi hai beeswin sadi ki tarah
janta hun ki eik din mujhko
wo badal dega dayri ki tarah - Bashir Badr