सभी को ग़म है समुंदर के ख़ुश्क होने का
सभी को ग़म है समुंदर के ख़ुश्क होने काकि खेल ख़त्म हुआ कश्तियाँ डुबोने का
बरहना-जिस्म बगूलों का क़त्ल होता रहा
ख़याल भी नहीं आया किसी को रोने का
सिला कोई नहीं परछाइयों की पूजा का
मआ'ल कुछ नहीं ख़्वाबों की फ़स्ल बोने का
बिछड़ के तुझ से मुझे ये गुमान होता है
कि मेरी आँखें हैं पत्थर की जिस्म सोने का
हुजूम देखता हूँ जब तो काँप उठता हूँ
अगरचे ख़ौफ़ नहीं अब किसी के खोने का
गए थे लोग तो दीवार-ए-क़हक़हा की तरफ़
मगर ये शोर मुसलसल है कैसा रोने का
मिरे वजूद पे नफ़रत की गर्द जमती रही
मिला न वक़्त उसे आँसुओं से धोने का - शहरयार
sabhi ko gham hai samundar ke khushk hone ka
sabhi ko gham hai samundar ke khushk hone kaki khel khatm hua kashtiyan dubone ka
barahna-jism bagulon ka qatl hota raha
khayal bhi nahin aaya kisi ko rone ka
sila koi nahin parchhaiyon ki puja ka
maal kuchh nahin khwabon ki fasl bone ka
bichhad ke tujh se mujhe ye guman hota hai
ki meri aankhen hain patthar ki jism sone ka
hujum dekhta hun jab to kanp uthta hun
agarche khauf nahin ab kisi ke khone ka
gae the log to diwar-e-qahqaha ki taraf
magar ye shor musalsal hai kaisa rone ka
mere wajud pe nafrat ki gard jamti rahi
mila na waqt use aansuon se dhone ka - Shaharyaar