मेरे कारोबार में सब ने बड़ी इमदाद की
मेरे कारोबार में सब ने बड़ी इमदाद कीदाद लोगों की, गला अपना, ग़ज़ल उस्ताद की
अपनी साँसें बेच कर मैं ने जिसे आबाद की
वो गली जन्नत तो अब भी है मगर शद्दाद की
उम्र भर चलते रहे आँखों पे पट्टी बाँध कर
ज़िंदगी को ढूँडने में ज़िंदगी बर्बाद की
दास्तानों के सभी किरदार कम होने लगे
आज काग़ज़ चुनती फिरती है परी बग़दाद की
इक सुलगता चीख़ता माहौल है और कुछ नहीं
बात करते हो 'यगाना' किस अमीनाबाद की - राहत इंदौरी
mere karobar mein sab ne badi imdad ki
mere karobar mein sab ne badi imdad kidad logon ki, gala apna, ghazal ustad ki
apni sansen bech kar main ne jise aabaad ki
wo gali jannat to ab bhi hai magar shaddad ki
umr bhar chalte rahe aankhon pe patti bandh kar
zindagi ko dhundne mein zindagi barbaad ki
dastanon ke sabhi kirdar kam hone lage
aaj kaghaz chunti phirti hai pari baghdad ki
ek sulagta chikhta mahaul hai aur kuchh nahin
baat karte ho 'yagana' kis aminabaad ki - Rahat Indori