मैं ख़याल हूँ किसी और का मुझे सोचता कोई और है
मैं ख़याल हूँ किसी और का मुझे सोचता कोई और हैसर-ए-आईना मिरा अक्स है पस-ए-आईना कोई और है
मैं किसी के दस्त-ए-तलब में हूँ तो किसी के हर्फ़-ए-दुआ में हूँ
मैं नसीब हूँ किसी और का मुझे माँगता कोई और है
अजब एतिबार ओ बे-एतिबारी के दरमियान है ज़िंदगी
मैं क़रीब हूँ किसी और के मुझे जानता कोई और है
मिरी रौशनी तिरे ख़द्द-ओ-ख़ाल से मुख़्तलिफ़ तो नहीं मगर
तू क़रीब आ तुझे देख लूँ तू वही है या कोई और है
तुझे दुश्मनों की ख़बर न थी मुझे दोस्तों का पता नहीं
तिरी दास्ताँ कोई और थी मिरा वाक़िआ कोई और है
वही मुंसिफ़ों की रिवायतें वही फ़ैसलों की इबारतें
मिरा जुर्म तो कोई और था प मिरी सज़ा कोई और है
कभी लौट आएँ तो पूछना नहीं देखना उन्हें ग़ौर से
जिन्हें रास्ते में ख़बर हुई कि ये रास्ता कोई और है
जो मिरी रियाज़त-ए-नीम-शब को 'सलीम' सुब्ह न मिल सकी
तो फिर इस के मअ'नी तो ये हुए कि यहाँ ख़ुदा कोई और है - सलीम कौसर
main khayal hun kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai
main khayal hun kisi aur ka mujhe sochta koi aur haisar-e-aina mera aks hai pas-e-aina koi aur hai
main kisi ke dast-e-talab mein hun to kisi ke harf-e-dua mein hun
main nasib hun kisi aur ka mujhe mangta koi aur hai
ajab aetibar o be-aetibari ke darmiyan hai zindagi
main qarib hun kisi aur ke mujhe jaanta koi aur hai
meri raushni tere khadd-o-khal se mukhtalif to nahin magar
tu qarib aa tujhe dekh lun tu wahi hai ya koi aur hai
tujhe dushmanon ki khabar na thi mujhe doston ka pata nahin
teri dastan koi aur thi mera waqia koi aur hai
wahi munsifon ki riwayaten wahi faislon ki ibaraten
mera jurm to koi aur tha pa meri saza koi aur hai
kabhi laut aaen to puchhna nahin dekhna unhen ghaur se
jinhen raste mein khabar hui ki ye rasta koi aur hai
jo meri riyazat-e-nim-shab ko 'salim' subh na mil saki
to phir is ke mani to ye hue ki yahan khuda koi aur hai - Saleem Kausar