इंसाफ जालिमों की हिमायत में जाएगा
इंसाफ जालिमों की हिमायत में जाएगाये हाल है तो कौन अदालत में जाएगा
दस्तार नोंच-नाच के अहबाब ले उड़े
सर बच गया है ये भी शराफ़त में जाएगा
दोज़ख के इंतजाम में उलझा है रात दिन
दावा ये कर रहा है के जन्नत में जाएगा
खुशफहमियों की भीड़ में तू भूल क्यूँ गया
पहले मरेगा बाद में जन्नत में जाएगा
वाकिफ है खूब झूठ के फन से ये आदमी
ये आदमी एक रोज जरूर सियासत में जाएगा - राहत इन्दौरी
insaaf zalimo ki himayat mein jayega
insaaf zalimo ki himayat mein jayegaye haal hai to kaun adaalat mein jayega
dastaar noch-naach ke ahbaab le ude
sar bach gaya hai ye bhi sharafat mein jayega
dozakh ke intezaam mein uljha hai raat din
dawa ye kar raha hai ke jannat mein jayega
khush-fehmiyon ki bheed mein tu bhool kyun gaya
pehle marega baad mein jannat mein jayega
waqif hai khoob jhooth ke fan se ye aadmi
ye aadmi zarur siyasat mein jayega - Rahat Indori