रघुपति राघव राजा राम
रघुपति राघव राजा रामपतित पावन सीता राम
तुलसी की रामायन के
राम की लीला वाले राम
बचपन में थे दोस्त मिरे
और लड़कपन में हम-जाम
क़स्बे क़स्बे नगर नगर
जहाँ भी ले पहुँचे अय्याम
नाम तुम्हारा चलता था
बन जाते थे बिगड़े काम
देस तो क्या परदेस में भी
हमराही थे तुम हर गाम
मिले जकार्ता में भी तुम
लीला में बन कर इस्लाम
देश जो लौटा फिर न मिले
ढूँडा तुम को हर इक धाम
पता चला की क़ैद हो तुम
चारों तरफ़ त्रिशूल का दाम
रथ-यात्रा में मारे गए
राम की लीला वाले राम
और दिसम्बर छे के बा'द
जिस जा देखो क़त्ल-ए-आम
रघुपति राघव राजा राम,
पतित पावन सीता राम - अशोक लाल
raghupati raghav raja ram
raghupati raghav raja rampatit pawan seeta ram
tulsi ki ramayan ke
ram ki leela wale ram
bachpan me the dost mire
aur ladakpan me ham-jaam
kasbe kasbe nagar nagar
jahan bhi pahuche ayyam
naam tumhara chalta tha
ban jate the bigde kaam
des to kya pardes me bhi
hamrahi the tum har gaam
mile jakarta me bhi tum
leela me ban kar islaam
desh jo louta phir n mile
dhundha tum ko har ek dhaam
pata chala ki kaid ho tum
charo taraf trishul ka daam
rath-yatra me mare gaye
raam ki leela wale raam
aur december chhe ke baad
jis jaa dekho qatl-e-aam
raghupati raghav raja ram
patit pawan seeta ram - Ashok Lal