दोस्तो नजरे फसादात नही होने की - मुज़फ़्फ़र हनफ़ी

दोस्तो नजरे फसादात नही होने की

दोस्तो नजरे फसादात नही होने की
जान दे कर भी मुझे मात नहीं होने की

उन से बिछडे तो लगा जैसे सभी अपनो से
आज के बाद मुलाकात नहीं होने की

ये कडे कोस मसाफत के बरस दिन तक है
ओर दोराने सफर रात नही होने की

बीच के लोग नकरीन बने रहते हैं
दू बदू उन से मेरी बात नही होने की

देखो मिट्टी को लहु से ना करो आलूदाह
वर्ना इस साल भी बरसात नही होने की

शहर में जश्न हे, नैजो पे चढे है बच्चे
आज मकतब मे मुनाजात नही होने की

मेरे मजहब ने सिखाया है मुजफ्फर मुझको
जंग की मुझ से शुरूआत नही होने की - मुज़फ़्फ़र हनफ़ी


dosto nazare faradat nahi hone ki

dosto nazare faradat nahi hone ki
jaan de kar bhi mujhe maat nahi hone ki

un se bicchde to laga jaise sabhi apno se
aaj ke baad mulaqat nahi hone ki

ye kade kos masaafat ke baras din tak hai
aur doran-e-safar raat nahi hone ki

beech ke log nakreen bane rahte hai
du bdu un se meri baat nahi hone ki

dekho mitti se lahu se na karo aaludaah
warna is saal bhi barsaat nahi hone ki

shahar me jashn hai, naizou pe chadhe hai bachche
aaj maqtab me munazat nahi hone ki

mere mazhab ne sikhaya hai muzffar mujhko
jung ki mujh se shuruwaat nahi hone ki - Muzaffar Hanfi

Post a Comment

कृपया स्पेम न करे |

Previous Post Next Post