मुझको छूके पिघल रहे हो तुम - शकील आज़मी

मुझको छूके पिघल रहे हो तुम

मुझको छूके पिघल रहे हो तुम
मेरे हमराह जल रहे हो तुम

चाँदनी छन रही है बादल से
जैसे कपडे बदल रहे हो तुम

पायलें बज रही है रह-रह के
ये हवा है के चल रहे हो तुम

नींद भी टूटने से डरती है
मेरे ख्वाबो में ढल रहे हो तुम- शकील आज़मी


mujhko chhuke pighal rahe ho tum

mujhko chhuke pighal rahe ho tum
mere hamraah jal rahe ho tum

chandni chhan rahi hai baadal se
jaise kapde badal rahe ho tum

payle baj rahi hai rah-rah ke
ye hawa hai ke chal rahe ho tum

nind bhi tutne se darti hai
mere khwabo me dhal rahe ho tum - Shakeel Azmi

2 Comments

कृपया स्पेम न करे |

Previous Post Next Post

Advertisement