हाथ छूटें भी तो रिश्ते नहीं छोड़ा करते - गुलज़ार

हाथ छूटें भी तो रिश्ते नहीं छोड़ा करते

हाथ छूटें भी तो रिश्ते नहीं छोड़ा करते
वक़्त की शाख़ से लम्हे नहीं तोड़ा करते

जिस की आवाज़ में सिलवट हो निगाहों में शिकन
ऐसी तस्वीर के टुकड़े नहीं जोड़ा करते

लग के साहिल से जो बहता है उसे बहने दो
ऐसे दरिया का कभी रुख़ नहीं मोड़ा करते

जागने पर भी नहीं आँख से गिरतीं किर्चें
इस तरह ख़्वाबों से आँखें नहीं फोड़ा करते

शहद जीने का मिला करता है थोड़ा थोड़ा
जाने वालों के लिए दिल नहीं थोड़ा करते

जा के कोहसार से सर मारो कि आवाज़ तो हो
ख़स्ता दीवारों से माथा नहीं फोड़ा करते - गुलज़ार


hath chhuten bhi to rishte nahin chhoda karte

hath chhuten bhi to rishte nahin chhoda karte
waqt ki shakh se lamhe nahin toda karte

jis ki aawaz mein silwat ho nigahon mein shikan
aisi taswir ke tukde nahin joda karte

lag ke sahil se jo bahta hai use bahne do
aise dariya ka kabhi rukh nahin moda karte

jagne par bhi nahin aankh se girtin kirchen
is tarah khwabon se aankhen nahin phoda karte

shahd jine ka mila karta hai thoda thoda
jaane walon ke liye dil nahin thoda karte

ja ke kohsar se sar maro ki aawaz to ho
khasta diwaron se matha nahin phoda karte - Gulzar

Post a Comment

कृपया स्पेम न करे |

Previous Post Next Post