अपने चेहरे से जो ज़ाहिर है छुपाएँ कैसे
अपने चेहरे से जो ज़ाहिर है छुपाएँ कैसेतेरी मर्ज़ी के मुताबिक़ नज़र आएँ कैसे
घर सजाने का तसव्वुर तो बहुत ब'अद का है
पहले ये तय हो कि इस घर को बचाएँ कैसे
लाख तलवारें बढ़ी आती हों गर्दन की तरफ़
सर झुकाना नहीं आता तो झुकाएँ कैसे
क़हक़हा आँख का बरताव बदल देता है
हँसने वाले तुझे आँसू नज़र आएँ कैसे
फूल से रंग जुदा होना कोई खेल नहीं
अपनी मिट्टी को कहीं छोड़ के जाएँ कैसे
कोई अपनी ही नज़र से तो हमें देखेगा
एक क़तरे को समुंदर नज़र आएँ कैसे
जिस ने दानिस्ता किया हो नज़र-अंदाज़ 'वसीम'
उस को कुछ याद दिलाएँ तो दिलाएँ कैसे - वसीम बरेलवी
apne chehre se jo zahir hai chhupayen kaise
apne chehre se jo zahir hai chhupayen kaiseteri marzi ke mutabiq nazar aayen kaise
ghar sajaane ka tasawwur to bahut baad ka hai
pahle ye tai ho ki is ghar ko bachayen kaise
lakh talwaren badhi aati hon gardan ki taraf
sar jhukana nahin aata to jhukayen kaise
qahqaha aankh ka bartao badal deta hai
hansne wale tujhe aansu nazar aayen kaise
phul se rang juda hona koi khel nahin
apni mitti ko kahin chhod ke jayen kaise
koi apni hi nazar se to hamein dekhega
ek qatre ko samundar nazar aayen kaise
jis ne danista kiya ho nazar-andaz 'wasim'
us ko kuchh yaad dilaen to dilayen kaise - Waseem Barelavi