आँखों में रहा दिल में उतर कर नहीं देखा
आँखों में रहा दिल में उतर कर नहीं देखाकश्ती के मुसाफ़िर ने समुंदर नहीं देखा
बे-वक़्त अगर जाऊँगा सब चौंक पड़ेंगे
इक उम्र हुई दिन में कभी घर नहीं देखा
जिस दिन से चला हूँ मिरी मंज़िल पे नज़र है
आँखों ने कभी मील का पत्थर नहीं देखा
ये फूल मुझे कोई विरासत में मिले हैं
तुम ने मिरा काँटों भरा बिस्तर नहीं देखा
यारों की मोहब्बत का यक़ीं कर लिया मैं ने
फूलों में छुपाया हुआ ख़ंजर नहीं देखा
महबूब का घर हो कि बुज़ुर्गों की ज़मीनें
जो छोड़ दिया फिर उसे मुड़ कर नहीं देखा
ख़त ऐसा लिखा है कि नगीने से जड़े हैं
वो हाथ कि जिस ने कोई ज़ेवर नहीं देखा
पत्थर मुझे कहता है मिरा चाहने वाला
मैं मोम हूँ उस ने मुझे छू कर नहीं देखा - बशीर बद्र
aankhon mein raha dil mein utar kar nahin dekha
aankhon mein raha dil mein utar kar nahin dekhakashti ke musafir ne samundar nahin dekha
be-waqt agar jaunga sab chaunk padenge
ek umr hui din mein kabhi ghar nahin dekha
jis din se chala hun meri manzil pe nazar hai
aankhon ne kabhi mil ka patthar nahin dekha
ye phool mujhe koi virasat mein mile hain
tum ne mera kanton bhara bistar nahin dekha
yaron ki mohabbat ka yaqin kar liya main ne
phoolon mein chhupaya hua khanzar nahin dekha
mahbub ka ghar ho ki buzurgon ki zaminen
jo chhod diya phir use mud kar nahin dekha
khat aisa likha hai ki nagine se jade hain
wo hath ki jis ne koi zewar nahin dekha
patthar mujhe kahta hai mera chahne wala
main mom hun us ne mujhe chhu kar nahin dekha - Bashir Badr