ग़म होते हैं जहाँ ज़ेहानत होती है
ग़म होते हैं जहाँ ज़ेहानत होती हैदुनिया में हर शय की क़ीमत होती है
अक्सर वो कहते हैं वो बस मेरे हैं
अक्सर क्यूँ कहते हैं हैरत होती है
तब हम दोनों वक़्त चुरा कर लाते थे
अब मिलते हैं जब भी फ़ुर्सत होती है
अपनी महबूबा में अपनी माँ देखें
बिन माँ के लड़कों की फ़ितरत होती है
इक कश्ती में एक क़दम ही रखते हैं
कुछ लोगों की ऐसी आदत होती है - जावेद अख़्तर
gham hote hain jahan zehanat hoti hai
gham hote hain jahan zehanat hoti haiduniya mein har shai ki qimat hoti hai
akasr wo kahte hain wo bas mere hain
akasr kyun kahte hain hairat hoti hai
tab hum donon waqt chura kar late the
ab milte hain jab bhi fursat hoti hai
apni mahbuba mein apni man dekhen
bin man ke laDkon ki fitrat hoti hai
ek kashti mein ek qadam hi rakhte hain
kuchh logon ki aisi aadat hoti hai - Javed Akhtar