ख़्वाब, सच के रुबरु करते रहे
ख़्वाब, सच के रुबरु करते रहेज़ख़्म आँखों के रफ़ू करते रहे
काटना था रात का तन्हा सफ़र
ख़ुद से हम ख़ुद गुफ़्तगू करते रहे
खोल कर लब दोस्तों के सामने
दर्द को बे आबरु करते रहे
आपके बख़्शे हुए हर ज़ख़्म को
आँसुओं से सुर्ख़रु करते रहे
रोज़ हम करते रहे इक आरज़ू
रोज़ क़त्ले आरज़ू करते रहे
चाहते थे हम तअल्लुक़ हों बहाल
आप रिश्तों का लहू करते रहे - राज़िक़ अंसारी
khawab sach ke rubru karte rahe
khawab sach ke rubru karte rahezakhm aankhon ke rafoo karte rahe
katna tha raat ka tanha safar
khud se ham khud guftgu karte rahe
khol kar lab dosto ke samne
dard ko be aabroo karte rahe
aapke bakhshe hue har zakhm ko
aansuon se surkhroo karte rahe
roz ham karte rahe ik aarzoo
roz katl-e-aarzoo karte rahe
chahte the ham taalluk ho bahaal
aap rishto ka lahu karte rahe - Razique Ansari