दिल-ए-बीमार को सब देखने आए
दिल-ए-बीमार को सब देखने आएजिन्हें आना था वो कब देखने आए
हिक़ारत से मुझे देखा था जिसने
उसे कहना मुझे अब देखने आए
उसे मैं भी समन्दर का लक़ब दूं
मेरे सूखे हूए लब देखने आए
मेरे टूटे हुए ख़्वाबों के टुकड़े
कोई आँखों में या रब देखने आए
बुलाया तो बहुत चीख़ों ने लेकिन
खुली अब नींद सो अब देखने आए - राज़िक़ अंसारी
dil-e-bimar ko sab dekhne aaye
dil-e-bimar ko sab dekhne aayejinhe aata tha wo kab dekhne aaye
hikarat se mujhe dekha tha jisne
use kahna mujhe ab dekhne aaye
use main bhi samandar ka lakab dun
mere sukhe hue lab dekhne aaye
mere tute hue khwabo ke tukde
koi aankho mein ya rab dekhne aaye
bulaya to bahut cheekhon ne lekin
khuli ab neend so ab dekhne aaye - Razique Ansari