हमारा दिल सवेरे का सुनहरा जाम हो जाए
हमारा दिल सवेरे का सुनहरा जाम हो जाएचराग़ों की तरह आँखें जलें जब शाम हो जाए
कभी तो आसमाँ से चाँद उतरे जाम हो जाए
तुम्हारे नाम की इक ख़ूब-सूरत शाम हो जाए
अजब हालात थे यूँ दिल का सौदा हो गया आख़िर
मोहब्बत की हवेली जिस तरह नीलाम हो जाए
समुंदर के सफ़र में इस तरह आवाज़ दे हम को
हवाएँ तेज़ हों और कश्तियों में शाम हो जाए
मुझे मालूम है उस का ठिकाना फिर कहाँ होगा
परिंदा आसमाँ छूने में जब नाकाम हो जाए
उजाले अपनी यादों के हमारे साथ रहने दो
न जाने किस गली में ज़िंदगी की शाम हो जाए - बशीर बद्र
hamara dil sawere ka sunahra jaam ho jaye
hamara dil sawere ka sunahra jaam ho jayecharaghon ki tarah aankhen jalen jab sham ho jaye
kabhi to aasman se chand utre jaam ho jaye
tumhaare nam ki ek khub-surat sham ho jaye
ajab haalat the yun dil ka sauda ho gaya aakhir
mohabbat ki haweli jis tarah nilam ho jaye
samundar ke safar mein is tarah aawaz de hum ko
hawaen tez hon aur kashtiyon mein sham ho jaye
mujhe malum hai us ka thikana phir kahan hoga
parinda aasman chhune mein jab nakaam ho jaye
ujale apni yaadon ke hamare sath rahne do
na jaane kis gali mein zindagi ki sham ho jaye - Bashir Badr