पिछले बरस तुम साथ थे मेरे और दिसम्बर था
पिछले बरस तुम साथ थे मेरे और दिसम्बर थामहके हुए दिन-रात थे मेरे और दिसम्बर था
चाँदनी-रात थी सर्द हवा से खिड़की बजती थी
उन हाथों में हाथ थे मेरे और दिसम्बर था
बारिश की बूंदों से दिल पे दस्तक होती थी
सब मौसम बरसात थे मेरे और दिसम्बर था
भीगी ज़ुल्फ़ें भीगा आँचल नींद थी आँखों में
कुछ ऐसे हालात थे मेरे और दिसम्बर था
धीरे धीरे भड़क रही थी आतिश-दान की आग
बहके हुए जज़्बात थे मेरे और दिसम्बर था
प्यार भरी नज़रों से 'फ़रह' जब उस ने देखा था
बस वो ही लम्हात थे मेरे और दिसम्बर था - फ़रह शाहिद
pichhle baras tum sath the mere aur december tha
pichhle baras tum sath the mere aur december thamahke hue din-raat the mere aur december tha
chandni-raat thi sard hawa se khidki bajti thi
un hathon mein hath the mere aur december tha
barish ki bundon se dil pe dastak hoti thi
sab mausam barsat the mere aur december tha
bhigi zulfen bhiga aanchal nind thi aankhon mein
kuchh aise haalat the mere aur december tha
dhire dhire bhadak rahi thi aatish-dan ki aag
bahke hue jazbaat the mere aur december tha
pyar bhari nazron se 'farah' jab us ne dekha tha
bas wo hi lamhat the mere aur december tha - Farah Shahid