गुलों के बीच में मानिन्द ख़ार मैं भी था - अनवर जलालपुरी

गुलों के बीच में मानिन्द ख़ार मैं भी था

गुलों के बीच में मानिन्द ख़ार मैं भी था
फ़क़ीर ही था मगर शानदार मैं भी था

मैं दिल की बात कभी मानता नहीं फिर भी
इसी के तीर का बरसों शिकार मैं भी था

मैं सख़्त जान भी हूँ बे नेयाज़ भी लेकिन
बिछ्ड़ के उससे बहुत बेक़रार मैं भी था

तू मेरे हाल पर क्यों आज तन्ज़ करता है
इसे भी सोच कभी तेरा यार मैं भी था

ख़फ़ा तो दोनों ही एक दूसरे से थे लेकिन
नदामत उसको भी थी शर्मसार मैं भी था - अनवर जलालपुरी


Gulon ke beech mein manind khaar main bhi tha

gulon ke beech mein manind khaar main bhi tha
fakeer hi tha magar shandar mai bhi tha

main dil ki baat kabhi manta nahi phir bhi
isi ke teer ka barson shikaar main bhi tha

mai sakht jaan bhi hun be neyaaz bhi lekin
bichhad ke usse bahut bekrar main bhi tha

tu mere haal par kyo aaj tanz karta hain
ise bhi soch kabhi tera yaar main bhi tha

khafa to dono hi ek dusre the lekin
nadamat usko bhi thi sharmshaar main bhi tha - Anwar Jalalpuri

Post a Comment

कृपया स्पेम न करे |

Previous Post Next Post