आँखों में बस के दिल में समा कर चले गए
आँखों में बस के दिल में समा कर चले गएख़्वाबीदा ज़िंदगी थी जगा कर चले गए
हुस्न-ए-अज़ल की शान दिखा कर चले गए
इक वाक़िआ' सा याद दिला कर चले गए
चेहरे तक आस्तीन वो ला कर चले गए
क्या राज़ था कि जिस को छुपा कर चले गए
रग रग में इस तरह वो समा कर चले गए
जैसे मुझी को मुझ से चुरा कर चले गए
मेरी हयात-ए-इश्क़ को दे कर जुनून-ए-शौक़
मुझ को तमाम होश बना कर चले गए
समझा के पस्तियाँ मिरे औज-ए-कमाल की
अपनी बुलंदियाँ वो दिखा कर चले गए
अपने फ़रोग़-ए-हुस्न की दिखला के वुसअ'तें
मेरे हुदूद-ए-शौक़ बढ़ा कर चले गए
हर शय को मेरी ख़ातिर-ए-नाशाद के लिए
आईना-ए-जमाल बना कर चले गए
आए थे दिल की प्यास बुझाने के वास्ते
इक आग सी वो और लगा कर चले गए
आए थे चश्म-ए-शौक़ की हसरत निकालने
सर-ता-क़दम निगाह बना कर चले गए
अब कारोबार-ए-इश्क़ से फ़ुर्सत मुझे कहाँ
कौनैन का वो दर्द बढ़ा कर चले गए
शुक्र-ए-करम के साथ ये शिकवा भी हो क़ुबूल
अपना सा क्यूँ न मुझ को बना कर चले गए
लब थरथरा के रह गए लेकिन वो ऐ 'जिगर'
जाते हुए निगाह मिला कर चले गए - जिगर मुरादाबादी
aankhon mein bas ke dil mein sama kar chale gaye
aankhon mein bas ke dil mein sama kar chale gayekhwabida zindagi thi jaga kar chale gaye
husn-e-azal ki shan dikha kar chale gaye
ek waqia sa yaad dila kar chale gaye
chehre tak aastin wo la kar chale gaye
kya raaz tha ki jis ko chhupa kar chale gaye
rag rag mein is tarah wo sama kar chale gaye
jaise mujhi ko mujh se chura kar chale gaye
meri hayat-e-ishq ko de kar junun-e-shauq
mujh ko tamam hosh bana kar chale gaye
samjha ke pastiyan mere auj-e-kamal ki
apni bulandiyan wo dikha kar chale gaye
apne farogh-e-husn ki dikhla ke wusaten
mere hudud-e-shauq badha kar chale gaye
har shai ko meri khatir-e-nashad ke liye
aaina-e-jamal bana kar chale gaye
aae the dil ki pyas bujhane ke waste
ek aag si wo aur laga kar chale gaye
aae the chashm-e-shauq ki hasrat nikalne
sar-ta-qadam nigah bana kar chale gaye
ab karobar-e-ishq se fursat mujhe kahan
kaunain ka wo dard badha kar chale gaye
shukr-e-karam ke sath ye shikwa bhi ho qubul
apna sa kyun na mujh ko bana kar chale gaye
lab tharthara ke rah gaye lekin wo ai 'jigar'
jate hue nigah mila kar chale gaye - Jigar Moradabadi