आख़िर वो अपने प्यार का इज़हार कर गए
आख़िर वो अपने प्यार का इज़हार कर गएइंकार कर रहे थे जो इक़रार कर गए
चोरी का डर नहीं रहा दिल के मकान में
जब से खड़ी वफ़ा की वो दीवार कर गए
उन से मिले न थे तो कभी हम ग़रीब थे
दे कर मता-ए-इश्क़ वो ज़रदार कर गए
आए जो दिल ख़रीदने बाज़ार-ए-इश्क़ में
नीलाम अपना दिल सर-ए-बाज़ार कर गए
सद-आफ़रीं कि सोए हुए हर जवान को
'जौहर' कलीमी ज़र्ब से बेदार कर गए - जोहर राना
aakhir wo apne pyar ka izhaar kar gaye
aakhir wo apne pyar ka izhaar kar gayeinkar kar rahe the jo iqrar kar gaye
chori ka dar nahin raha dil ke makan mein
jab se khadi wafa ki wo diwar kar gaye
un se mile na the to kabhi hum gharib the
de kar mata-e-ishq wo zardar kar gaye
aae jo dil kharidne bazar-e-ishq mein
nilam apna dil sar-e-bazar kar gaye
sad-afrin ki soye hue har jawan ko
'jauhar' kalimi zarb se bedar kar gaye - Johar Rana