इक याद की मौजूदगी सह भी नहीं सकते
इक याद की मौजूदगी सह भी नहीं सकतेये बात किसी और से कह भी नहीं सकते
तू अपने गहन में है तो मैं अपने गहन में
दो चांद हैं इक अब्र में रह भी नहीं सकते
हम जिस्म हैं और दोनों की बुनियादें अमर हैं
अब कैसे बिछड़ जाएं कि ढह भी नहीं सकते
दरिया हूँ किसी रोज़ मुआविन की तरह मिल
ये क्या कि हम इक लहर में बह भी नहीं सकते
जवाब आएं कहाँ से अगर आँखें हों पुरानी
और सुब्ह तक इस ख़ौफ़ में रह भी नहीं सकते - साक़ी फारुकी
ik yaad ki moujudagi sah bhi nahi sakte
ik yaad ki moujudagi sah bhi nahi sakteye baat kisi aur se kah bhi nahi sakte
tu apne gahan me hai to mai apne gahan me
do chand hai ek abr me rah bhi nahi sakte
ham jism hai aur dono ki buniyade amar hai
ab kaise bichchd jaye ki dhah bhi nahi sakte
dariya hu kisi roz muaavin ki tarah mil
ye kya ki ham ek lahar me bah bhi nahi sakte
jawab aaye kaha se agar aankhe ho purani
aur subah tak is khouf me rah bhi nahi sakte - Saqi farooqi/faruqi