यार को मैं ने मुझे यार ने सोने न दिया
यार को मैं ने मुझे यार ने सोने न दियारात भर ताला'-ए-बेदार ने सोने न दिया
ख़ाक पर संग-ए-दर-ए-यार ने सोने न दिया
धूप में साया-ए-दीवार ने सोने न दिया
शाम से वस्ल की शब आँख न झपकी ता-सुब्ह
शादी-ए-दौलत-ए-दीदार ने सोने न दिया
एक शब बुलबुल-ए-बेताब के जागे न नसीब
पहलु-ए-गुल में कभी ख़ार ने सोने न दिया
जब लगी आँख कराहा ये कि बद-ख़्वाब किया
नींद भर कर दिल-ए-बीमार ने सोने न दिया
दर्द-ए-सर शाम से उस ज़ुल्फ़ के सौदे में रहा
सुब्ह तक मुझ को शब-ए-तार ने सोने न दिया
रात भर कीं दिल-ए-बेताब ने बातें मुझ से
रंज ओ मेहनत के गिरफ़्तार ने सोने न दिया
सैल-ए-गिर्या से मिरी नींद उड़ी मर्दुम की
फ़िक्र-ए-बाम-ओ-दर-ओ-दीवार ने सोने न दिया
बाग़-ए-आलम में रहीं ख़्वाब की मुश्ताक़ आँखें
गर्मी-ए-आतिश-ए-गुलज़ार ने सोने न दिया
सच है ग़म-ख़्वारी-ए-बीमार अज़ाब-ए-जाँ है
ता-दम-ए-मर्ग दिल-ए-ज़ार ने सोने न दिया
तकिया तक पहलू में उस गुल ने न रक्खा 'आतिश'
ग़ैर को साथ कभी यार ने सोने न दिया - हैदर अली आतिश
yar ko main ne mujhe yar ne sone na diya
yar ko main ne mujhe yar ne sone na diyaraat bhar tala-e-bedar ne sone na diya
khak par sang-e-dar-e-yar ne sone na diya
dhup mein saya-e-diwar ne sone na diya
sham se wasl ki shab aankh na jhapki ta-subh
shadi-e-daulat-e-didar ne sone na diya
ek shab bulbul-e-betab ke jage na nasib
pahlu-e-gul mein kabhi khar ne sone na diya
jab lagi aankh karaha ye ki bad-khwab kiya
nind bhar kar dil-e-bimar ne sone na diya
dard-e-sar sham se us zulf ke saude mein raha
subh tak mujh ko shab-e-tar ne sone na diya
raat bhar kin dil-e-betab ne baaten mujh se
ranj o mehnat ke giraftar ne sone na diya
sail-e-girya se meri nind udi mardum ki
fikr-e-baam-o-dar-o-diwar ne sone na diya
bagh-e-alam mein rahin khwab ki mushtaq aankhen
garmi-e-atish-e-gulzar ne sone na diya
sach hai gham-khwari-e-bimar azab-e-jaan hai
ta-dam-e-marg dil-e-zar ne sone na diya
takiya tak pahlu mein us gul ne na rakkha 'atish'
ghair ko sath kabhi yar ne sone na diya
sayyaad-e-gul-ezar dikhata hai sair-e-bagh
bulbul qafas mein yaad kare aashiyana kya
betab hai kamal hamara dil-e-hazin
mehman sara-e-jism ka hoga rawana kya
yun muddai hasad se na de dad to na de
'atish' ghazal ye tu ne kahi aashiqana kya - Haider Ali Atish
जितनी बार भी सुनो इसे मन नही भरता
लाजवाब प्रस्तुति। धन्यवाद।