कोई उम्मीद बर नहीं आती - मिर्ज़ा ग़ालिब

कोई उम्मीद बर नहीं आती

कोई उम्मीद बर नहीं आती !
कोई सूरत नज़र नहीं आती !!

मौत का एक दिन मुअय्यन है !
नींद क्यों रात भर नहीं आती !!

आगे आती थी हाल-ए-दिल पर हसी !
अब किसी बात पर नहीं आती !!

जानता हूँ सवाब-ए-ताअत-ओ-ज़ोहद !
पर तबियत इधर नहीं आती !!

है कुछ ऐसी ही बात जो चुप हूँ !
वरना क्या बात कर नहीं आती ?

क्यों न चीखू कि याद करते है !
मेरी आवाज़ गर नहीं आती !!

दाग़-ए-दिल गर नज़र नहीं आता !
बू भी ऐ चारागर नहीं आती !!

हम वहा है जहाँ से हमको भी !
कुछ हमारी खबर नहीं आती !!

मरते है आरजू में मरने की !
मौत आती है पर नहीं आती !!

काबा किस मुँह से जाओगे ग़ालिब !
शर्म तुमको मगर नहीं आती ! - मिर्ज़ा ग़ालिब
मायने
मुअय्यन = नियत, सवाब-ए-ताअत-ओ-ज़ोहद = संयम तथा उपासना, चारागर = चिकित्सक



koi ummid bar nahin aati

koi ummid bar nahin aati
koi surat nazar nahin aati

mout ka ek din muayyan hai
nind kyo rat bhar nahin aati

aage aati thi hal-e-dil par hansi
ab kisi bat par nahin aati

janta hun sawab-e-taat-o-zohad
par tabiyat idhar nahin aati

hai kuch aisi hi baat jo chup hun
warna kya baat kar nahin aati ?

kyo n cheekhu ki yaad karte hai
meri aawaz gar nahin aati

Daagh-e-dil gar nazar nahin aata
Boo bhi ae charagar nahin aati

ham waha hai jaha se hamko bhi
kuch hamari khabar nahin aati

marte hai aarzoo me marne ki
mout aati hai par nahin aati

kaba kis muh se jaoge ghalib
sharm tumko magar nahin aati - Mirza Ghalib
mirza ghalib shayari, ghalib shayari, galib shayari, koi ummid bar nahin aati, koi umeed bar nahi aati, lyrics of koi umeed bar nahi aati, urdu ghazal koi umeed bar nahi aati, koi umeed bar nahi aati shayari, koi umeed bar nahi aati lyrics, koi umeed bar nahi aati

2 Comments

कृपया स्पेम न करे |

Previous Post Next Post