हम कुछ ऐसे तिरे दीदार में खो जाते हैं
हम कुछ ऐसे तिरे दीदार में खो जाते हैंजैसे बच्चे भरे बाज़ार में खो जाते हैं
मुस्तक़िल जूझना यादों से बहुत मुश्किल है
रफ़्ता रफ़्ता सभी घर-बार में खो जाते हैं
इतना साँसों की रिफ़ाक़त पे भरोसा न करो
सब के सब मिट्टी के अम्बार में खो जाते हैं
मेरी ख़ुद्दारी ने एहसान किया है मुझ पर
वर्ना जो जाते हैं दरबार में खो जाते हैं
ढूँढने रोज़ निकलते हैं मसाइल हम को
रोज़ हम सुर्ख़ी-ए-अख़बार में खो जाते हैं
क्या क़यामत है कि सहराओं के रहने वाले
अपने घर के दर-ओ-दीवार में खो जाते हैं
कौन फिर ऐसे में तन्क़ीद करेगा तुझ पर
सब तिरे जुब्बा-ओ-दस्तार में खो जाते हैं - मुनव्वर राना
मायने
मुस्तकिल = निरंतर, रफाकत = साथ, तनकीद = आलोचना, जुब्बा-ओ-दस्तार = शाही पहनावा
hum kuchh aise tere didar mein kho jate hain
hum kuchh aise tere didar mein kho jate hainjaise bachche bhare bazar mein kho jate hain
mustaqil jujhana yaadon se bahut mushkil hai
rafta rafta sabhi ghar-bar mein kho jate hain
itna sanson ki rifaqat pe bharosa na karo
sab ke sab mitti ke ambar mein kho jate hain
meri khuddari ne ehsan kiya hai mujh par
warna jo jate hain darbar mein kho jate hain
dhundhne roz nikalte hain masail hum ko
roz hum surkhi-e-akhbar mein kho jate hain
kya qayamat hai ki sahraon ke rahne wale
apne ghar ke dar-o-diwar mein kho jate hain
kaun phir aise mein tanqid karega tujh par
sab tere jubba-o-dastar mein kho jate hain - Munawwar Rana