
आप जिन के क़रीब होते हैं
आप जिन के क़रीब होते हैंवो बड़े ख़ुश-नसीब होते हैं
जब तबीअ'त किसी पर आती है
मौत के दिन क़रीब होते हैं
मुझ से मिलना फिर आप का मिलना
आप किस को नसीब होते हैं
ज़ुल्म सह कर जो उफ़ नहीं करते
उन के दिल भी अजीब होते हैं
इश्क़ में और कुछ नहीं मिलता
सैकड़ों ग़म नसीब होते हैं
'नूह' की क़द्र कोई क्या जाने
कहीं ऐसे अदीब होते हैं - नूह नारवी
aap jin ke qarib hote hain
aap jin ke qarib hote hainwo bade khush-nasib hote hain
jab tabiat kisi par aati hai
maut ke din qarib hote hain
mujh se milna phir aap ka milna
aap kis ko nasib hote hain
zulm sah kar jo uf nahin karte
un ke dil bhi ajib hote hain
ishq mein aur kuchh nahin milta
saikdon gham nasib hote hain
'nooh' ki qadr koi kya jaane
kahin aise adib hote hain - Nooh Narvi/b>