तुझ से बिछड़ूँ तो तिरी ज़ात का हिस्सा हो जाऊँ
तुझ से बिछड़ूँ तो तिरी ज़ात का हिस्सा हो जाऊँजिस से मरता हूँ उसी ज़हर से अच्छा हो जाऊँ
तुम मिरे साथ हो ये सच तो नहीं है लेकिन
मैं अगर झूट न बोलूँ तो अकेला हो जाऊँ
मैं तिरी क़ैद को तस्लीम तो करता हूँ मगर
ये मिरे बस में नहीं है कि परिंदा हो जाऊँ
आदमी बन के भटकने में मज़ा आता है
मैं ने सोचा ही नहीं था कि फ़रिश्ता हो जाऊँ
वो तो अंदर की उदासी ने बचाया वर्ना
उन की मर्ज़ी तो यही थी कि शगुफ़्ता हो जाऊँ - अहमद कमाल परवाज़ी
tujh se bichhdun to teri zat ka hissa ho jaun
tujh se bichhdun to teri zat ka hissa ho jaunjis se marta hun usi zahr se achchha ho jaun
tum mere sath ho ye sach to nahin hai lekin
main agar jhut na bolun to akela ho jaun
main teri qaid ko taslim to karta hun magar
ye mere bas mein nahin hai ki parinda ho jaun
aadmi ban ke bhatakne mein maza aata hai
main ne socha hi nahin tha ki farishta ho jaun
wo to andar ki udasi ne bachaya warna
un ki marzi to yahi thi ki shagufta ho jaun - Ahmad Kamal Parwazi