छू नहीं सकते
बहुत से रंग है मेरेहमेशा खुबसूरत
और तरोताजा
जिन्हें तुम छू नहीं सकते
बहुत-सी बारिशे
होती है मुझमे
जिनकी आवाजे
कभी तुम सुन नहीं सकते
बहुत से ख्वाब है
खुशरंग यादो से भरे रास्तो पे
चलके जो
मेरी आँखों तक आते है
मगर तुम इनकी आहट को नहीं
महसूस कर सकते
बहुत से ग़म है
जो करवट बदलती रात के
पहलु से लगकर मुस्कुराते है
मगर इस मुस्कराहट की खबर
तुमको नहीं होती
ये दुरी है
हमेशा की
जिसे शायद
मुसलसल मुझको सहना है
मगर फिर भी
तुम्हारे साथ रहना है
- शाहिदा हसन
Chhu nahin Sakte
bahut se rang hai merehamesha khubsurat
aur tarotaza
jinhe tum chhu nahin sakte
bahut-si barishe
hoti hai mujhme
jinki aawaze
kabhi tum sun nahi sakte
bahut se khwab hai
khushrang yaado se bhare rasto pe
chalke jo
meri aankho tak aate hai
magar tum inki aahat ko nahi
mahsus kar sakte
bahut se gham hai
jo karwat badlati raat ke
pahlu se lagkar muskurate hai
magar is muskurahat ki khabar
tumko nahin hoti
ye duri hai
hamesha ki
jise shayad
musalsal mujhko sahna hai
magar phir bhi
tumhare sath rahna hai
- Shahida Hasan